Likha hai ek zaifa thi Naat Lyrics in Hindi and English

Aaj ke is article mein main aapke saath “Likha hai ek zaifa thi, jo makka mein rahti thi naat lyrics” Hindi aur English mein share karne wala hoon.

 Likha hai ek zaifa thi ke Jo mekkah me rahti thi – Post Overview

Aaj ke is article mein main aapke saath “Likha hai ek zaifa thi, jo makka mein rahti thi naat lyrics” Hindi aur English mein share karne wala hoon. Ummeed hai ki aapko aaj ki ye post jaroor pasand aayegi. Agar aap ko ye qalam pasand aaya to ise sadqah-e-jariya ki niyat se dusron ke saath bhi jaroor share karein.

Likha hai ek zaifa thi naat lyrics

Likha Hai Ek Zaifa Thi Ke Jo Mekkah Me Rahti Thi

Wo In Baton Ko Sunti Thi Magar Khamosh Rahti Thi

Wo Sunti Thi Muhammad Hai Koi Hashim Gharane Me

Wo Kahta Hai Khuda Bas Ek Hai Sare Zamane Me

Wo Sunti Thi Hubul Ki Laat Ki Tazleel Karta Hai

Wo Apne Haq Ke Farmane Ki Yun Tameel Karta Hai

Wo Sunti Thi Jo Uske Saath Hai Wo Hai Ghulam Uska

Musalman Ho Hi Jata Hai Jo Sunta Hai Kalaam Uska

Likha Hai Wo Zaifa Ek Din Kaaba Me Jaa Pahunchi

Hubul Ke Paaon Par Sar Rakh Ke Usne Ye Dua Mangi

Main Tujh Ko Poojti Hun Aur Khuda Bhi Tujh Ko Kahti Hun

Bara Afsos Hai Jo Aaj Kal Main Ranj Sahti Hun

Wo Gham Ye Hai Muhammad Hai Koi Hashim Gharane Me

Wo Kahta Hai Khuda Bas Ek Hai Saare Zamane Me

Mita Do Uski Hasti Ko Na Le Phir Koi Naam Uska

Jigar Chhalni Hua Jata Hai Sun Sun Kar Kalam Uska

Dua Karke Uthi Sajde Se Aur Wo Apne Ghar Ayi

Samajhti Thi Ye Dil Me Ab Meri Ummeed Bhar Ayi

Zaifa Ko Khushi Thi Ab Hubul Bijli Gira Dega

Muhammad To Muhammad Saathiyon Ko Bhi Mita Dega

Magar Kuchh Din Guzarne Per Na Jab Ummeed Bhar Ayi

Dua Karke Hubul Se Apne Dil Me Khoob Pachhtayi

Garaz Tarqeeb Usne Soch Lee Ye Khud Hi Ghar Aa Kar

Ke Chhorungi Ye Basti Mai Rahungi Aur Kahin Ja Kar

Garaz Ek Din Subah Ko Usne Apni Ek Gathri Lee

Nikal Kar Ghar Se Apne Aur Darwaze Pe Aa Baithi

Zaifa Sochti Thi Ab Koi Mazdoor Milta Hai

Use Yeh Kya Khaber Thi Ek Khuda Ka Noor Milta Hai

Fareeza Subah Ka Karke Ada Sarkar Do Aalam

Chale Jaate The Kaaba Ki Taraf Wo Rahmat-E-Alam

Jalon Me Aap Ke Shams-O-Qamar Maloom Hote The

Paye Tasleem Sajde Me Shajar Maloom Hote The

Zaifa Muntazir Mazdoor Ki Baithi Thi Ghabrayi

Yakayak Samne Se Chaand Si Surat Nazar Ayi

Zaifa Ne Kaha Beta Yahan Aana Bata Kya Naam Hai Tera

Kaha Mazdoor Hoon Amma Bata Kya Kaam Hai Tera

Kaha Mazdoor Hai Agar Tu To Chal Gathri Meri Lekar

Main Khush Kar Dungi Aye Mazdoor Mazdoori Teri Dekar

Ye Sun Kar Aapne Gathri Utha Kar Apne Sar Par Li

Zaifon Ki Madad Karna Ye Aadat Thi Payamber Ki

Garaz Gathri Ko Lekar Manzil-E-Maqsood Par Ayi

Kaha Dil Se Ke Aye Dil Ab Teri Ummed Bhar Aayi

Kaha Beta Jo Thi Dil Me Tamanna Ho Gayi Puri

Muhammad To Muhammad Sathiyon Se Ho Gayi Doori

Lagi Dene Jo Mazdoori Zaifa Aap Ko Us Dam

To Farmane Lage Us Dam Huzur-E-Sarwar-E-Aalam

Ye Koi Kaam Hai Amma Mai Lun Ab Jiski Mazdoori

Koi Agar Our Khidmat Ho To Wo Bhi Main Karun Poori

Ye Farmate Huye Ki Aapne Jane Ke Tayyari

Zaifa Se Ijazat Chahate Then Rahmat-E-Baari

Zaifa Ne Kaha Beta Zara Thahro Chale Jaana

Mujhe Ek Baat Kahni Hai Zara Sun Kar Chale Jaana

Yaqeen Jaano Ki Ab Makkah Me Jhagra Hone Wala Hai

Main Samjhati Hun Tujh Ko Isliye Tu Bhola Bhala Hai

Wo Makke Me Qabeela Hashmi Naam-O-Laqab Wale

Wohi Beta Jo Hain Sardar Abdul Muttalib Wale

Unhi Me Ek Jawan Hai Jo Suna Jaata Hai Saahir Hai

Ke Is Fan Me Magar Beta Wo Apne Khoob Mahir Hai

Wo Asar Hota Hai Jiske Dil Tukhm-E-Ulfat Bo Ke Rahta Hai

Jo Sunta Hai Kalam Uska Wo Uska Hoke Rahta Hai

Hamesha Bach Ke Chalna Usse Bole Koi Naam Uska

Naseehat Hai Yehi Meri Na Sunna Tu Kalam Uska

Nabi Budhiya Ke Dil Me Noor-E-Wahdat Bharne Wale Then

Naseehat Sun Rahe Then Jo Naseehat Karne Wale Then

Zaifa Ne Kaha, ‘Beta Bhala Kya Naam Hai Tera’

Tera Aaghaz Kya Hai Aur Kya Anjaam Hai Tera

Kaha Hazrat Ne Budhiya Se, ‘Tujhe Kya Naam Batlaun’

Main Kya Kaam Batlaun, Main Kya Anjaam Batlaaun

Main Banda Hun Khuda Ka Aur Mujassam Noor-E-Zad Hoon

Kaha Gardan Jhuka Kar Aapne, ‘Mai Hi Muhammed Hun’

Main Hoon Maasoom Duniya Me Mera Dushman Zamana Hai

Khuda Waahid Hai Aalam Me Mujhe Bas Ye Batana Hai

Ye Sunna Tha Ke Bas Aakhon Se Aansu Ho Gaye Jaari

Nabi Ke Ishq Ki Ek Chot Si Dil Per Lagi Kaari

Zaifa Ne Kaha Beta Karo Mushkil Meri Aasan

Mai Aisi Jeet Ke Sadqe Me Aisi Haar Ke Qurban

Hua Phir Haal Par Uske Jo Fazle Eezan-E-Baari

Zaifa Ke Zubaan Se Khud Ba Khud Kalma Hua Jari

Laailaha Illallah Muhammadur Rasululah

Sallallahu Alaihi Wasallam

Likha hai ek zaifa thi naat lyrics in Hindi

लिखा है एक जईफ़ा थी के जो मक्का में रहती थी

वो इन बातों को सुनती थी मगर खामोश रहती थी

वो सुनती थी मुहम्मद है कोई हाशिम घराने में

वो कहता है खुदा बस एक है सारे ज़माने में

वो सुनती थी हुबुल की लात की तज़्लील करता है

वो अपने हक के फरमान की यूं तामिल करता है

वो सुनती थी जो उसके साथ है वो है गुलाम उसका

मुसलमान हो ही जाता है जो सुनता है कलाम उसका

लिखा है वो जईफ़ा एक दिन काबा में जा पहुंची

हुबुल के पांव पर सर रख के उसने ये दुआ मांगी

मैं तुझ को पूजती हूं और खुदा भी तुझ को कहती हूं

बड़ा अफ़सोस है जो आज कल मैं रंज सहती हूँ

वो ग़म ये है मुहम्मद है कोई हाशिम घराने में

वो कहता है खुदा बस एक है सारे ज़माने में

मिटा दो उसकी हस्ती को ना ले फिर कोई नाम उसका

जिगर छलनी हुआ जाता है सुन-सुनकर कलाम उसका

दुआ करके उठी सजदे से और वो अपने घर आई

समझती थी ये दिल में अब मेरी उम्मीद भर आई

जईफ़ा को ख़ुशी थी अब हुबुल बिजली गिरा देगा

मुहम्मद तो मुहम्मद साथियों को भी मिटा देगा

मगर कुछ दिन गुज़रने पर ना जब उम्मीद भर आई

दुआ करके हुबुल से अपने दिल में खूब पछतायी

गरज तरकीब उसने सोच लिया ये खुद ही घर कर

के छोड़ूंगी ये बस्ती मैं रहूंगी और कहीं जा कर

गरज़ एक दिन सुबह को उसने अपनी एक गठरी ली

निकल कर घर से अपने और दरवाजे पे बैठी

जईफ़ा सोचती थी अब कोई मजदूर मिलता है

से ये क्या खबर थी एक खुदा का नूर मिलता है

फ़रीज़ा सुबह का करके अदा सरकार दो आलम

चले जाते थे काबा की तरफ वो रहमत--आलम

जालों में आप के शम्स--क़मर मालूम होते थे

पाये तसलीम सजदे में शजर मालूम होते थे

जईफ़ा मुंतज़िर मज़दूर की बैठी थी घबरायी

यकायक सामने से चाँद सी सूरत नज़र आई

जईफ़ा ने कहा बेटा यहाँ आना बता क्या नाम है तेरा

कहा मजदूर हूं अम्मा बता क्या काम है तेरा?

कहा मजदूर है अगर तू तो चल गठरी मेरी लेकर

मैं खुश कर दूंगी मजदूर मज़दूरी तेरी देकर

ये सुन कर अपनी गठरी उठा कर अपने सर पर ली

ज़इफ़ो की मदद करना ये आदत थी पयम्बर की

ग़रज़ गठरी को लेकर मंजिल--मकसूद पर आई

कहाँ दिल से के दिल अब तेरी उम्मीद भर आई

कहा बेटा जो थी दिल में तमन्ना हो गई पूरी

मुहम्मद तो मुहम्मद साथियों से हो गई दूरी

लगी देने जो मज़दूरी जईफ़ा आप को उस द

तो फ़रमाने लगे उस द हुज़ूर--सरवर--आलम

ये कोई काम है अम्मा, मैं लू अब जिसकी मज़दूरी

कोई अगर और खिदमत हो तो वो भी मैं करूँ पूरी

ये फरमाते हुए की आपने जाने की तैय्यारी

जईफ़ा से इजाज़त चाहते थे रहमत--बारी

जईफ़ा ने कहा बेटा ज़रा ठहरो चले जाना

मुझसे एक बात कहनी है ज़रा सुन कर चले जाना

यकी जानों कि अब मक्का में झगड़ा होने वाला है

मैं समझती हूं तुझ को इसलिए तू भोला भाला है

वो मक्के में क़बीला हाशमी नाम--लक़ब वाले

वही बेटा जो हैं सरदार अब्दुल मुत्तलिब वाले

उन्हीं में एक जवान है जो सुना जाता है साहिर है

की इस फन में मगर बेटा वो अपना खूब माहिर है

वो असर होता है जिसका दिल तुख्म--उल्फत बो के रहता है

जो सुनता है कलाम उसका वो उसका होके रहता है

हमेशा बच के चलना से बोले कोई नाम उसका

हिदायत है यही मेरी ना सुनना तू कलाम उसका

नबी बुढ़िया के दिल में नूर--वहदत भरने वाले थे

नसीहत सुन रहे थे, जो नसीहत करने वाले थे

जईफ़ा ने कहा, 'बेटा भला क्या नाम है तेरा'

तेरा अग़ाज़ क्या है और क्या अंजाम है तेरा

'कहा हजरत ने बुढ़िया से, 'तुझे क्या नाम बतलाऊं

मैं क्या काम बताऊं, मैं क्या अंजाम बतलाऊं

मैं बंदा हूं खुदा का और मुजस्सम नूर--जाद हूं

कहा गर्दन झुका कर आपने, 'मैं ही मुहम्मद हूं'

मैं हूं मासूम दुनिया में मेरा दुश्मन जमाना है

खुदा वाहिद है आलम में मुझे बस ये बताना है

ये सुनना था कि बस आखों से आंसू हो गए जारी

नबी के इश्क की एक चोट सी दिल पर लगी कारी

जईफ़ा ने कहा बेटा करो मुश्किल मेरी आसां

मैं ऐसी जीत के सदके में ऐसी हार के क़ुर्बान

हुआ फिर हाल पर उसके जो फ़ज़ले ईज़ा--बारी

जईफ़ा के ज़ुबान से ख़ुद बा ख़ुद कलमा हुआ जारी

ला लाहा इल्लल्लाह मुहम्मदुर रसूलल्लाह

सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम

Likha hai ek zaifa naat mp3

Doston, ummeed hai ki aapko hamari aaj ki ye post jaroor pasand aayi hogi. Agar aap ko ye “Likha hai ek Zaifa ne Naat Lyrics” Pasand aayi ho to ise apne dosto ke saath bhi share karna mat bhooliyega. Jajak Allahu Khairan !!!

एक टिप्पणी भेजें

Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
AdBlock Detected!
We have detected that you are using adblocking plugin in your browser.
The revenue we earn by the advertisements is used to manage this website, we request you to whitelist our website in your adblocking plugin.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.